Return to Main Site  Poet’s corner   Poetry Week   Poetry Week 2   Poetry Wk3   Poetry Wk 4

 

Har Pal

Anita Dhanak, UK

Har pal ne kaha ek pal se….
   Pal bhar ke liye aap mere sam ne aao….
  Pal bhar ka sath kuch aisa ho…
 Kee har pal sirf tum hi yaad aao……


Andhera hi andhera
Manisha Ghaghada, Coventry, UK
a reply to Vasant Pattni's Nasiyat kiske ke liye?

Kya aabhi bhi raha hai kuch kehna sunna
Na hue hum kisi se naraz aur nahi gussa

Fir kyun sazaa zindagi ne mujhe di aisi
Khamoshi ne meri hai aaj saab ko sataya

Duniya ko kya dekhau aapni aankho se
Jaab ki aaj aankho ke samne andhera chaya

Saanse thaak gayi hai meri dhrakte hue
Dil bhi iss khamoshi se aab hai daarne laga

Jaanti hai duniya mujhe Manisha ke naam se
Par meri duniya main hai sirf andhera chaya



nasiyat kiske liye?

Vasant Pattni

a Reply to Alvida.....

kiya kahe, kaise kahe, kisko kahe ,

kab kahe, aur kiyu kahe,

koi nasiha deta, koi naraz, koi gusa,

koi gali, koi tana ,maloom nahi,

bada mushkil hota jawab dena jab koi

khamosh rehkar sawal karta ,

keh te alvida bina sawal ke,

yeh dil sun raha hai tere dil ki jubaan

dekh rahi hai duniya teri ankhon se,

 

rahi agar sanse

girne na gunga ek boond ansoo

teri ankhonse, keh te hai hum jise

jaansi ki rani,,pukar ta hai tuje tera khoon

teri nisiyat ke liye,,duniya janti tuje manisha

ke naam se ,, paao ho lakshmi ke

ankeh jo durga ki,,haath jaise raani ke

khamoshi se karti sawal,,aankho

alvida

Alvida – Goodbye

Manisha Ghaghada, Coventry, U.K.

 

Alvida hai mera tujhe aab na aaungi
Yaadon ko teri saath main le jaungi

Akhri baar dekh lo jee bhar ke hume
Na dekh paoge aab ki dobara na aungi

Jaa rahi hu tujhse zindagi muuh modke
Tere liye baas ek yaad baanke rejaungi

Na aoge tum meri mayyat pe jaanti hu
Par iss aas ke saath zindagi guzaar jaungi

Akele aab jeena aur akele hi rona hai
Aur aise ek din tanha main mar jaungi

Zindagi hai badi ajeeb

Manisha Ghaghada, Coventry, UK

 

Zindagi badi ajeeb dhang se chalti hai
Kabhi khushi to kabhi gham hai

Log fir bhi umeed baandhe baith hai
Uus zindagi se jo har samay alag rang dekhati hai

Khushi bhi ghum ke baad aati hai
Kya kare jiski lakeero main khushi hi nahi hai

Nahi jaanti main ki kya zindagi hai
Kya woh khushi ka naam hai

Ya fir zindagi sirf ghaam ka naam hai
Jaha har raste main chot khani likhi hai

Mera anchal kahli sunni meri zindagi hai
Kyu meri godh bhar ke bhi rulati hai

Har rishte main mayus hona likha hai
To kya yahi jeene ko kehte hai

Agar yahi zindagi hai
To isse khataam kar dena hi aacha hai…

 

Zindagi ke rang

By Bharti Sureshchandra Ghaghada, New Jersey, USA

kaise kaise rang dikhati hai zindgi,kabhi hasati to kabhi rulati zindgi.

kabhi apno ne thukrayato kabhi gairone gale lagaya,

                                       kabhi dikhati khwab to kabhi haqikat zindgi.. kaise rang

kabhi barsaye rahon me khushi ke phul,  to kabhi gamo ki dhul,

                                       leti har kadam pe imthan zindgi.....................kaise rang

kabhi pilaye ghunt aansu ke, kabhi diye nazarane hansi ke

                                       kabhi banti saheli to kabhi paheli zindgi........kaise rang

kabhi yakin to kabhi guman dilati, ab kya gila kya shikva zindgi 

                                     na jane kab kis moud pe le jaye zindgi............kaise rang

 

Mithi Yaade
Harsha Dhanak. Mombasa, Kenya

 

"Waqt guzarta  raha par sanse thami si thi,

Muskura rahe the hum, par ankho me nami si thi.

 

Saath hamare ye jahan tha sara

par na jane kyu tumahari kami si thi.....

 

Aisa nahi ke aapki yaad aati nahi,

Kehna sirf itna hai ke hum batate nahi

 

anmol hai apka pyar hamare liye,

Aap jante hai isiliye hum jatate nahi!"


Aankhe ya Nashaa

Haresh Dhakan

  

Unki Ankhein ki zanjeeron mein bas kar,

Ye dil ab mushkil mein pad gaya

 

Har pal har waqt unki nigaahein,

Is kadr yaad aayen ki khud hi se dil lad gaya

 

Manzilon ko paane ki kosheesh ki kyaa karen, 

Musaafir jab intazaar mein pad gaya

 

Jeene ki saari aarzoo ne bhi woh dhoka diya,

to dil ki harkat se ab waqt bhi akad gaya

 

Na hai ab chaen din ko na ab chaen hai  raat ko,

Nigaahon se peene ka nashaa har pahar pad gaya

 

kaash koi bataayen unhe yeh maajra kya hai,

jo bina chot khaye yeh dil ko rona jo  pad gaya

 

Chetavni (warning)

Kusum Ashwin Vaya and Nita Chandrakant Vaya Sharjah, U.A.E.

Je o passe bhul karvani himat nathi

Bhul kabul karwani takaat nathi

 

Oonara ma shitarta ne dil aavkarta nathi

Chomasa ma under thi bhina thai sakta nathi

 

Khas mitra sathe pan nikhalas banata nathi

Dushman ni ekaad khubi ne pan birdavi sakta nathi

 

Pushp sathe vyavahar karvo te janta nathi

Ekad sundar pustak na prem ma nathi

Jeevan ma ek pan vraksh oocheriu nathi

 ane

Je o ni aakh ne bhini thavani tev nathi

Je o passe jeevan manvano samay nathi

Je o such ne svikar karvama kanju sai kare che

Ane dukh ne kayam chati ne vargadi ne fare che

Eva manaso P.H.D. degree dharave to pan abhan janva

Teo be paag par oobha che, aa to ek akasmat che

 

Poetry in Gujarati click Chetvani

Ankhe - Eyes

Manisha Ghaghda, Coventry. U.K.

Udaas Aankhon Se Aansuu Nahin Nikalte Hain
Ye Motiyon Ki Tarah Siipiyon Mein Palte Hain
Ghane Dhuen Mein Farishte Bhii Aankh Malte Hain
Tamaam Raat Khajuuron Ke Ped Jalte Hain
Main Shaah Raah Nahii.N, Raaste Kaa Patthar Hoon
Yahaan Savaar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain
Unhen Kabhi Na Bataana Main Unki Aankhen Hoon
Who Log Phool Samajhakar Mujhe Masalte Hain
Ye Ek Ped Hai, Aa Is Se Milakar Ro Len Ham
Yahaan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain
Kai Sitaaron Ko Main Jaantaa Hoon Bachapan Se
Kahin Bhi Jaaon Mere Saath Saath Chalte Hain........


Aisa Nainsaf Kyon?

                                         'Diya', U.K.
khuda ki iss duniya mein
koi inssan kyu bukha rehta hai
Ek roti ka khawaab sajaaye
Kyu wo sadak par sota hai
Naa hai koi aashiya uska
Naa rehne ka koi thhikana hai
Chhat hai us par ambar ki
Aur sadak hi uska bichhona hai
Odhkar wo chand ki chandni
Iss umeed se sota hai
Ek roti ka khawaab sajaaye
Kyu wo sadak par sota hai
Jab kisi gareeb ka bachha
Doodh ke liye rota hai
Sarddi ki thandi raato mein
khud mein hi simat kar sota hai
Rote bilakhte bachhe ko
Thhand mein sikute bachhe ko
Uski maa apne kaleje se laga leti hai
Kal dhoodh pilaane ka bahana kar ke
Usko ek aur nayaa khwaab dikhati hai
Kal use kuch mile naa mile
Bas wo use ek jhhuti aas dilati hai
Ye sab dekhkar mera dil pal pal rota hai
Ek roti ka khawaab sajaaye
Kyu wo sadak par sota hai
khuda ki iss duniya mein
koi inssan kyu bukha rehta hai
Ek roti ka khawaab sajaaye
Kyu wo sadak par sota hai

 

Jeevan

Jeevan     

Haresh V. Dhakan. Dubai. U.A.E.

Jis ko jivan me agar dukh-dard naa mila

 kavi yaa phankaar kabhi bana nahin

Chahte moti sabhi is duniyaa mein  magar,  

doobki sagar me lagaate chand woh nahin


Bandh pinjre kaa parindaa udnaa chahta,  

chahta banna koi mehmaan woh nahin

 

Kitne log hain jahaan mein phaile har jagah  
magar taqdeer sabhee ki samaan to nahin

 

Phool khilte yun  to hain isi chaman mein,

 magar  paate hain sabhi dildaar to nahin

 

Jazbaa to har koi rakhta hai mohabbat karke yahan,

 par hote hain kya Shah Jahan  se who nahin

 

 Kitne insaan jahaan me aise bhi huwe,

 kabr marne ko watan me paaye jo nahin

 

 Har shaam ke baad woh  kali raat hoti hai,

Yaad rahe kyon ki manzil ki woh roshni ab door nahin

Balance Sheet Of LIFE

Vinod H. Sagar.  Dubai, U.A.E.


Our Birth is our Opening Balance

Our Death is our Closing Balance

Our Prejudiced Views are our Liabilities

Our Creative Ideas are our Assets

Heart is our Current Asset

Soul is our Fixed Asset

Brain is our Fixed Deposit

Thinking is our Current Account

Achievements are our Capital

Character & Morals our Stock-in-Trade

Friends are our General Reserves

Values & Behavior are our Goodwill

Patience is our Interest Earned

Love is our Dividend

Children are our Bonus Issues

Education is Brands / Patents

Knowledge is our Investment

Experience is our Premium Account

The Aim is to Tally the Balance Sheet Accurately.

The Goal is to get the Best Presented Accounts Award.

Have a Nice day.

Tera aur mera kiya hai?

Vasant Pattni. U.K.


zindagi ki is duad meh

koan jita aur koan hara ,,

kesi hai yeh insanki paheli,

koi na jana,,,,

yeh mera woh tera karta

hai jub woh jata hai 

tub koi nahi puchta

ke tera aur mera kiya hai......

firbhi insan chahat ke
picheh duad ta hai ,,,,

kiyu,,,kesi hai yeh zindagi
ki paheli koi na jana,,,,,,,,,,,,,,,,


**abh chota sa bichka geet...... **


achoh ko bura sabit karna ,,

duniyaki purani adat hai ,,,

is meh ko mubark chis samaj mana

ke bahout badnam hai yeh,,,,, 

chullene do najuk haunto ko
kuch aur nahi jam hai yeh..........