lady-set3vic.jpg (9385 bytes)

welcome-set3vic.jpg (2975 bytes)

Pattni Connection is 3 year old. Lets all rejoice

Happy Birthday to You
Happy Birthday to Pattni Connection
Happy Birthday to you!!



Welcome to Pattni Connection Poetry
by our talented Pattni poets

 

   HEY WOMAN!
                                   
                    Pooja Vaya,
Nairobi, Kenya

She takes birth and becomes a daughter

She fights circumstances and becomes a warrior

For her relations she plays a navigator

In her life, she plays but she is a director

 

Her beauty is her love

Her charm is her valor

Her endurance is her strength

And her fortitude is her womanhood

 

To every harm, she is the shield

To every house, she is the breath

To every life, she is the holder

To every relation, she is the key

 

She is her father’s divine beloved

She is her man’s fire and desire

She is her son and daughter’s idol

And she is everyone’s living life!

 

Such is a woman and her womanhood

Hey Woman, be proud of yourself!

And men, be proud of women in your life

Be it a daughter, mother or a wife!


Aurat  (Woman)
Manisha Pattni, Coventry

Aurat se hai yeh duniya saari
Fir bhi yeh ghulami sehti hai

Aurat ke liye hai jeena saza
Fir bhi woh jeeye ja rahi hai

Aurat sansaar ke kismat hai
Fir bhi kismaat ki mari hai

Aurat aaj bhi zinda jalti hai
Fir bhi kehlati woh qurbani hai

Aurat ke liye rona khataa hai
Fir bhi woh har zulm sehti hai

Aurat ne janam diya mardon ko
Fir bhi woh kehlati pairon ki juti hai!!!!


 

“Maa Baap Ko Kabhi Maat Bhul Na”
Manisha Ghaghada, Coventry, UK

Laakh baaton ko chahe tum bhulo bhale
Maa baap ko tum kabhi maat bhul na

Dete hai yeh pyara jeevan hume
Inn jeevan dene walo ko kabhi maat bhul na

 

Laad pyar se pal ke karte hai bada hume
Inn pawan dil ke logo ko maat bhul na

Bahon ka karke jhula jhulate hai hume
Inn nirmal dil walon ko kabhi maat rulana

Aapne pet ko kaate hai kabhi khilane hume
Inn amrit dene walo ko kabhi maat bhul na

Jo cheez tune maangi who saab kuch paaya
Inn pyar lutane walo ka tum prem pyar maat bhul na

Chahe lakh dhan daulat kamay tu bhale
Inn janam dene walo ke bina bekaar hai yeh saari

Laakh baton ko chahe tum bhulo bhale
Maa baap ko tum kabhi maat bhul na


 

Aik Beti Ki Kahani
Manisha Ghaghda, Coventry, U.K.

Betiyaan Kis ke ghar main rehti hain?   

Ban ke rehmat jab yeh uttarti hain    

Dhan paraya ais ka ghar yeh nahi
Sun kar ais talkh haqeeqat ko            

Phir bhi woh muskurati rehti hain
Maa ke aanchal ko odh leti hain       

ais ke sab dukh sambhal leti hain
Woh hanse saath us ke hansti hain
Us ki aankhon main agar aye paani
Apne dill main utaar leti hain
Ghar yeh un ka nahi hai
Sun kar bhi sara ghar sambhal leti hain
Baap ka maan sara un se hai
Izzat or shaan sari un se hai
Baat jo un ke dil main hoti hai
Betiyaan khud se jaan leti hain
Apne bhaion se pyaar karti hain
Har khushi un par waar deti hain
Koi gham paas aye na un ke
Har ghadi ais dua main rehti hain
Apne babul ke ghar ki chidiyaan hain
Door kahin un ka thikaana hai
Phir bhi woh chehchahati rehti hain
Phool khusiyun ke khillati rehti hain
Daasian hain un ke aangan ki
Bin mool kanizein hain
Maan ki aankhon ke roshni hai
Woh baap ke dil ka chain hai
Jitni bhaion ki sewa karti hai
Itna bhai bhi un se pyaar karte hain
Phir bhi woh phool apne angan ka
Kyun kisi or ko de dete hain?
Jate jate Yeh kahani
Woh ais ke kanoon main utar dete hain
Phir laut kar na aana tum
aik naya ghar basana tum
Ab woh ghar hi tera thikana hai
Apne babul ko bhool jana hai
Tum ne reet yeh nibhani hai
Maan ke seekhe ki laaj rakhni hai
Sab ke dil main jaga banani hai
aik duniya nayi basaani hai
Sare rishton ka naam rakhna hai
Apne babul ka naam rakhna hai
Sari batein woh kitabe dil par
Woh aansu se uttar leti hain
Khool ke band dareeche palkon ke
Bawuzu ho kar aansu se woh
Apne babul ke baste aangan ki
Aajazi se duaein mangti hain
Betiyaan be khata hoti hain
Phir bhi woh jate hoye
Babul se apne har jurm bakhshwati hain
Maan ke qadam choom kar dua leti hain
Woh sakhi jo saath kheeli ho
Sukh dukh ki jo saheli ho
Shafqatein or muhabbtein sab ki
Har naseehat duaein har lab ki
Zakheera yeh sara chalte hoye
Apne aanchal se band leti hain
Jate hoye palat kar mudti hain
Or aik sakhi se yeh sawaal karti hain
Betiyon ka nahi hai ghar koi?
phir yeh kyun dil main ghar banati hain?
Woh sakhi yun jawab deti hai
Kaun kehta hai ain ka ghar hi nahi?
Betiyaan sab ke dil main rehti hain
Maan ka aanchal hi ghar kabhi ain ka
Baap ke daste dua main rehti hain
Pyaar bhai ka saibaan un ka
Or asal ghar to dil hai saajan ka
Har jaga un ke dam se raunaq hai
Betiyaan har har jaga par rehti hain
Ghar faqt un ke naam se baste hain
log sirf un ke dam se hanste hain
Behan beti ho maan ho ya biwi ho
Yeh sirf naam hi badli hai
asal main betiyaan hi hoti hain
ponch le aansu apni aankhon ke
sab thikaane tere thikaane hain
Meka susraal ya tera sajan
Saare rishte tujhe nibhane hain
Tere saajan ka dil hi tera ghar
Ab woh hi tera thikaana hai ...........

divider-set3vic.jpg (6419 bytes)

     

cookie-set3vic.jpg (2670 bytes)